Dua

Ghar Se Nikalte Waqt ki Dua aur Uski Ahmiyat

Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam* ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho,

*بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ*

*Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah*

Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai).
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih

Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago