Buzurgan-e-deen

Hazrat Shaikh Rukn-ud-deen Abul Fat’h Suharwardi rahmatullāhi alaihi

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Rukn-e-aalam.
****************
Aap ki wilaadat 9 Ramazaan 649 Hijri (26 November 1251 A.D.) ko Multan me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Aarif bin Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Raasti binte Sultaan Jamaal-ud-deen Mohammad al-Farghani shai.
Aap Asad ibn Haashim al-Quraishi ki nasl se hain, jo Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke naana hain.
****************
Bachpan me ek baar farsh par khel rahe the. Hazrat Baha-ud-deen Zakariya bhi waha tashreef farma the. Aap ne khelte hue waha rakha hua daadajaan ka amaama mubarak uthakar apne sar par rakh liya aur muskurane lage. Yeh dekhkar aap ke waalid saahab ne adab sikhaane ki garz se unhe rokna chaaha. Magar Hazrat Baha-ud-deen Zakariya ne mana farmaaya aur kaha “Yeh bacha is ka haqdaar hai. Jab yeh bada hoga to yeh amaama isi ko milne waala hai.”
****************
Aap ke bachpan ke zamaane me ek Martaba Shaikh Baha-ud-deen Zakariya rahmatullāhi alaihi ki baargaah me ek aurat haazir hui aur arz kiya ke “Huzoor! Dua farmae ke ALLĀH ta’ala mujhe aulaad ata farmae.” Hazrat ne aankhen band kar li aur thodi der ke baad farmaaya “Teri qismat me koi aulaad nahi hai.”
Woh aurat maayoos hokar waapas jaa rahi thi ke Raaste me Hazrat Rukn-ud-deen se mulaaqaat hui. Aap bacho ke saath khel rahe the. Aap ne us aurat ko rote hue dekhkar wajah puchhi. Us aurat ne saari baat batai.
Aap ne farmaaya ke “Jaisa me sikhaata hu waise hi karna magar daada jaan ke saamne mera naam mat lena. Waapas jaakar yun kaho ke agar qismat me likha hota to wo mujhe mil hi jaata. Magar aap ki khidmat me haazir hone ka kya faayda hua?”
Woh aurat Hazrat Baha-ud-deen Zakariya ki baargaah me waapas gai aur jaisa aap ne sikhaaya tha wo arz kar diya.
Hazrat ne muskura kar farmaya ke “Umr chhoti hai aur baate oonchi karta hai.” Phir us aurat se farmaaya “Kal aana, aaj raat main ALLĀH ki baargaah me dua karunga.” Subah jab woh aurat aai to Hazrat ne farmaaya “ALLĀH ke fazl se main tumhe ek beta nahi, do nahi balke 7 bete ata karta hu.”
Aur Hazrat ki dua se us aurat ko ALLAH ta’ala ne 7 bete ata kiye.
****************
Aap ki khaanqaah aur madrasa me Hindustan ke aur Chin, Turkistaan, Mawara-un-Nahar, Khurasan, Iraq, Shaam, Misr aur Hijaaz se log faiz haasil karne aate the.
Aap ki khaanqaah ke lanagar me rozaana hazaaro ki ta’adaad me logo ko khaana khilaaya jaata tha.
Aap apni mehfil me dars o naseehat kiya karte. ALLĀH ta’ala ne Aap ke zariye bahot saare logo ko hidaayat ata farmai.
Aur Aap ne apne faiz se be-shumaar logo ki haajat puri farmai aur beemaaro ko shifa ata farmai.
****************
Hazrat Mehboob e Ilāhi Nizaam-ud-deen auliya rahmatullāhi alaihi se Aap ki bahot gehri dosti thi. Aap un se mulaaqaat karne ke liye kai baar Multan se Delhi tashreef laate the. Aur Hazrat Nizaam-ud-deen auliya ki wasiyat ke mutaabiq un ki namaaz e janaaza bhi Aap hi ne padhaai.
****************
Aap Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
(Aap ke waalid) Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Aarif rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmaai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Hameed-ud-deen Hakeem Hankari rahmatullāhi alaihi (Raheem Yaar Khan),
(2) Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi (Uch),
(3) (Aap ke bhai) Hazrat Makhdoom Shaikh Maulana Imaad-ud-deen Ismāeel Quraishi rahmatullāhi alaihi,
(4) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaikh Abul Fazl Abdul Wahaab rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Sayyed Asad-ud-deen Aaftaab-e-Hind rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Chiraagh e Hind rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Shaah Yousuf Gardezi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrar Shaikh Uṡman Sayyaah rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 7 Jamaadi-ul-awwal 735 Hijri (3 January 1335 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Multan (Pakistan) me hain.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Rukn-e-aalam Rukn-ud-deen Abul Fat’h Suharwardi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago