Buzurgan-e-deen

Khawaja Gharib Nawaz Moinuddin Chishti Ajmeri Radiyallahu Anhu

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawazرضي الله عنه Sultan ul Hind

(Ba Zubaan e Waalida Mubaraka Khawaja Gharib Nawaz)

بسم الله الرحمن الرحيم

Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki walida farmati hai ke jiss purnoor wa darakhsha subah ko Moinuddin Hasan رضي الله عنه ki wiladat e mubaraka huwi hamare ghar mein ek ajeeb sa noor phail gaya, aur Maiñe apne ird-gird bahot si noorani soorateiñ dekhi.

Phir Maiñe apne nau-maulood bacche ki taraf nazar ki to yeh dekh kar hairaan reh gayi ke woh sajde mein pada hai Maiñe usse pyaar se utha kar apni godh mein le liya phir jabh upar nigah uthayi toh hazaaro noorani soorat aur haseen chehre waaloñ ko pare bandhe huwe dekha jin ke libaasoñ se suroor angez khushbu ki lapte aa rahi thi. itne mein ek shakhs ne mujhse mukhatab karte huwe kaha “Aye Khatoon! mubarak ho ki aaj tere ghar Moinuddin ki wiladat huwi hum log iss daur ke aktab-o- abdaal hai aur tujhe khush khabri aur mubarakbaad dene aaye hai.” Uske baad ye hazraat nigahoñ se roo-posh ho gaye.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawazرضي الله عنه

Khawaja Gharib Nawaz Aur Eid Ka Din

بسم الله الرحمن الرحيم

Eid ka din tha har taraf khushiyo ka mahaul tha
Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke bachpan ka zamana tha, Aap apne ghar walo ke hamraah nihayat umda aur nafees libas zeb e tan farma kar namaz e eid ke liye eid gaah jaa rahe the ke raaste mein ek nabeena ladke ko phate purane kapde mein malboos dekha,

Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ko uski gareebi aur lachari dekh kar bahot dukh huwa. Natije ke taur par aapne apna khubsoorat libas uss gareeb nabeena ladke ko pehna diya aur khud doosre kapde pehan kar usse apne saath eid gaah le gaye.

Ye waqiyaat ki raushni mein yeh andaza lagana aasan hai ki Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه bachpan, ahade tifli aur shirkhwargi mein hi nahi balki Khalaki aur Paidaishi Gareeb Nawaz hai.

Ye seefat khaas aap ki hayaat e zaahiri tak hi nahi balki zaahiri parda farmane ke baad bhi aapse kabhi kisi haal maiñ juda naa ho saki.

Chunache aaj bhi aap ussi tarah Gareeboñ, majbooroñ, bekasoñ, mazlumoñ aur be-saharoñ ko nazdik o dur se khoob khoob nawazte hai.

Aur In Sha Allah Ta’ala subhe qayamat tak hum gareebo ke liye aap Gareeb Nawaz rahenge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 184.

#Yahañ Bheek Milti Hai Bey’Gumaan,
Yeh Bade Sakhi Ka Hai Astaan,
Yahan Sabki Bharti Hai Jholiyan,
Yeh Dar e Gareeb Nawaz Hai

Bai’th o Khilafat Sarkaar Khawaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه

Jabh Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne Hazrat Khawaja Usmaan harwani رضي الله عنه ki ziyarat ki to dekha ki Hazrat ki majlis mein bade bade Aulma aur Mashaeekh Mu’addab baithe huwe hai aur mureedoñ ki bheed lagi huwi hai,

Aap khamoshi se ek goshe mein baith gaye uss waqt Hazrat Usmaan Harwani رضي الله عنه itteba’e sunnat ki ahamiyat samjha rahe they jabh baat muqammal ho gayi to aap ne farmaya, “Maiñ baagh e tauheed ke gul-e-naubahar ki khushbu mehsoos kar raha hu yeh keh kar apni jagah se uthe aur saffoñ ko cheerte huwe Sarkaar e Khwaja ka haath pakad kar unhein khada kiya aur seene se lagate huwe farmaya – Marhaba Marhaba khush aamadeed! meri aankhoñ ki thandak Allah tumhe ba-muraad kare,

phir majme se farmaya ye Moinuddin Hasan hai, uske baad Isbaat e Wujood ke mauzu par Sarkaar e Khawaja ko taqreer ka hukm de kar baith gaye.

Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne tameel e hukm mein ek fasiho baleeg taqreer farmayi log dambakhud ho gaye aur aisa mehsoos kar rahe the jaise imaano ikaan ki baarish ho rahi hai ye silsila azaan e magribh tak chala

Namaz ke baad Hazrat Khwaja Usmaan Harwani رضي الله عنه Aapko Apne hujre mein le gaye aur Silsila e Chishtiya mein dakhil farmaya.

*# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 199

Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke Qayamat Tak Murideen ki Bakhshish

بسم الله الرحمن الرحيم

Sarkaar e Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه apne Murshid se Sharf e Ba’it haasil karne ke baad khud Peero Murshid ke saath bhi aur uske alawa bhi muta’addid (kayi baar) bar Harmain e Shareefain ki ziyarat se mushrraf huwe,

lekin hijri 583 mein jabh aap Makkah Mu’azzama pahuche to ek din Haram e Kaabah mein mashgule ibadat they ke gaib se ek aawaz aayi

“Aye Moinuddin! Hum tujhse khush hai aur Humne tujhko bakhsh diya jo kuch chahe Humse maang le Hum ataa karenge.!

Aapne arz ki “Khudawanda! Moinuddin ke mureedine silsila ko bakhsh de

Irshad huwa “Aye Moinuddin! Tu Humari Milak(Milkiyat) hai jo Tere mureed aur tere silsile mein ta qayamat mureed hoñge un sab ko hum bakhsh denge.”

# Moinul Arvah Safah No.78.
# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 212

RasoolAllah (sallallahu Alehi wasallam) ki Zaahiri Ziyarat Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ko Aur Ajmer Sharif ka Hukm

بسم الله الرحمن الرحيم

Jabh Sarkaar Garib Nawaz رضي الله عنه Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Huzoor e Akdas ﷺ par gulamana hazri ki sa’adat haasil ki aur chand din wahi muqeem rahe.

Ek din Rauza e Mutabbaraq e Munawwara se nida (Aawaz) aayi ke Moinuddin ko bulaya jaaye. Phir kya tha Hazrat e Khawaja Moinuddin Chishty ki kaifiyat ajeeb o gareeb hogayi. Laboñ par Darood e Pak ke phooloñ ko saja kar Rauza e Rasool ﷺ ke Muqaddas Aastane par saraapa adab o niyaz ban kar khade hogaye andar se aawaz aayi “Aaye Qutb ul Mashaaekh andar aajaao”

Aap deewangi aur adab ka daman thame andar dakhil huwe. Aapki kismat bedaar huwi ke halat e bedaari mein RasoolAllah ﷺ ke Rukh e Zebah ki ziyarat se musharraf huwe.

Aaqa e Kareem ﷺ ne irshad farmaya “Moinuddin tu hamara Aaine Deen hai lekin tujhe Hind (hindustaan) jaana hoga wahañ ek jagah Ajmer hai jahañ mere farzand Sayyed Hussain Naami tableeg e deen wa jihad e fi sabilillah ki niyat se gaye they abh woh shaheed hogaye hai jiske sabab se woh jagah kaafiroñ ke tasallut mein aagayi hai.

Tumhare qadmon ki barkat se wahañ islaam failega aur wahañ ke kaafir magloob honge.

#Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 214.

Darbaar e Nabi se Moinuddin Naam Aur Hindostan ka Taaje Wilayat Mila Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ko

بسم الله الرحمن الرحيم

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه adaeegi e hajj ke baad Madeena Munawwara haazir huwe aur ek arse tak wahañ ibadat mein mashgul rahe ussi mauke par aapko Darbar e Risalat ﷺ se basharat huwi Aye Moinuddin! Tu mere deen ka Moin (madadgar) hai Maiñe wilayat e Hind (hindustan) tujko ataa ki wahañ kufr o shirk ki zulmat phaili huwi hai tu Ajmer jaa tere wajood se wahañ ki zulmat e kufr durr hogi aur islam ka ujala failegaa”

Aap iss basharat se bahot khush huwe ke ilahi ajmer kaha hai aur kaunsa maqaam hai ussi aalam mein aapki aankh lag gayi aur Huzoor Sarwar e Kainaat ﷺ ne aapko apni ziyarat se musharraf farmaya turfatul aain(palak jhapakte) mein aap ko tamaam shehairoñ qilla aur kohistan dikhla diye.

Aur ek bahishti anaar ataa farma diya.

Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No 213.

Khawaja Kutubuddin Bakhtiyar kaaki par Ek Aurat ka Ilzaam Aur Karamat e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Ek din Khwaja Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki aur Sultan Shamshuddin Altamash shahi qile ki sair farma rahe they, wahañ bohot se umra wa arakeen e saltanat bhi maujood the ke itne mein ek badkaar haamila aurat haazir ho kar kehne lagi,

“Khudara aap mera nikah kara dijiye maiñ bade azaab mein hu.”

Badshah ne kaha, kisse nikah karau aur tu kya azaab mein hai? Usne nihayat gustakhana andaaz mein Qutb Sahab ki taraf ishara karte huwe kaha mere peit mein inka hamal hai!

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه sharm se paseena paseena ho gaye! Badshah aur tamaam umra par sakta taari ho gaya! Hazrat Qutb Sahab ne fauran apne peero murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki taraf tawajjoh ki! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه uss waqt Ajmer sharif mein jalwa afroz the. Itne mein kya dekhte hai ki Sarkaar e Khwaja ba nafs e nafees wahañ maujood hai aur hazireen ne badh kar qadambosi ki.

Aapne Qutb Sahab se pucha ki tumne mujhe yaad kyu kiya? Aap muñh se kuch na keh sake albatta aankhoñ se ashk behne lage. Sarkaar e Khwaja muhabbat se tadap uthe aur farmaya,

Aye badkaar haamila tu khud hi sun, phir aurat ke shikam ki taraf mutawajjah ho kar farmaya, Aye peit ke bacche tu hi bata! Teri maa Qutb Sahab ko tera baap batati hai kya yeh sach hai?

Peit se bacche ne jawab diya Huzur! yeh bilkul galat hai yeh aurat badi makkar aur faahisha hai mein hargiz Qutb Sahab ka beta nahi hu.

Phir uss badkaar aurat ne qubul kiya ki Qutb Sahab ke dushmano ne ilzam lagane ke liye usse bheja tha

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah no.316.

Darbar e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه se Kabhi koi Khaali Haath waoas Naa gaya

بسم الله الرحمن الرحيم

Sultan ul Hind Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki ataa wa bakhshish aur faiyyazi wa dariya dili ki yeh kaifiyat thi ke kabhi koi saeel Aapke dar se mehroom na jaata.

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رحمۃ الله تعالیٰ علیہ farmate hai ke Maiñ arse tak Aapki khidmat mein haazir raha uss dauran kabhi kisi saeel ya fakeer ko Aapke dar se khali haath jaate nahi dekha. Aapke langarkhane mein rozaana itna khana taiyyar kiya jaata ke shehair ke tamaam gurba wa masakeen khoob sair ho kar khate khadeem haazir e bargaah ho kar jabh yaumiya kharch ka mutalba karte to Aap musalle ka ek gosha uthha kar farmate “jiss kadar aaj ke kharche ki zarurat ho le lo”

Woh matluba miqdaar mein le lete aur hasb e ma’mul khana pakwa kar gareeboñ aur miskeeno mein takseem kar dete.سُــــبْحانَ الله

#Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.276.

Yahañ bheekh milti hai begumaañ
Yeh bade sakhi ka hai aastaañ
Yahañ sabki bharti hai jholiyañ
Yeh dar e Gareeb Nawaaz hai.

Irshaadaat e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

 Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه Ke Irshadaat

 Kalaam e Ilaahi ka dekhna sawaab hai, padhna sawaab hai, agar 1 harf par nigah padey 10 buraiyaañ durr hojaaeñ aur 10 nekiyañ darj hojaaeñ aankhoñ ki raushni badhey aur uss aankh par kabhi koi museebat na ho.
 Burey kaam karne se badtar buroñ ki sohbat
 Aalim e Deen ki ziyaarat aur darweshoñ ki dosti nuzoole barkat ka sabab hoti hai

Wisaal ke Waqt Peshaani Mubarak

Jabh Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه ka wisaal huwa to aapki peshani muqaddas par yeh ibarat likhi huwi thi “Haaza Habibullah Maa Ta Fi Hubbilllah” ( Yeh Allah ﷻ Ka Dost Hai Aur Allah ﷻ Ki Mohabbat Mein Duniya Se Jaa Raha Hai)

# Khwaja e Ajmer safah no. 25 – 26

Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago