Islamic Blog

✔ Hadees
Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah ﷺ ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ﷺ ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor ﷺ ne farmaya kya Allah Ta’ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do
???? Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669

Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor ﷺ ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor ﷺ ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi.

Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao .
???? Surah Anfaal Para 9 Ruku 17
Isme Allah Ta’ala ne Apne Naam ke sath Huzoor ﷺ ka Naam Milaya hai

Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu’a Hai
Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm