Hadith

IBLIS KA POTA

HIQAYAT:-
**********
Behki May Amirul-Momineen Hazrat Umar Farookh Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain Ki Ek Roz Hum Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ke Humrah Tihama Ki Ek Pahaadi Per Baithe The Ki Achanak Ek Boodha Hath May Aasa Liye Hue Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ke Saamne Haazir Hua Aur Salam Arz Kiya! Huzoor Ne Jawab Diya Aur Farmaya, Iski Awaaz Jinno Ki-Si Hain, Fir Aapne Usse Daryaft Kiya, Tu Kaun Hain? Usne Arz Kiya, Main Jinn Hoon! Mera Naam Hama Hain, Beta Heem Ka Aur Heem Beta Laakis Ka Aur Laakis Beta Iblis Ka! Huzoor Ne Farmaya, To Goya Tere Aur Iblis Ke Darmiyan Sirf 2 Pusht Hain! Fir Farmaya, Accha! Yeh Batao Tumahri Umr Kitni Hain? Usne Kaha, Ya Rasoolallah! Jitni Umr Duniya Ki Hain Utni Hi Meri Umr Hain Kuch Thodi Kam Hain! Huzoor, Jin Dino Kaabil Ne Haabil Ko Qatl Kiya Tha Us Waqt Main Kayi Baras Ka Baccha Hi Tha, Magar Baat Samajhta Tha! Pahaadon May Daudta Firta Tha! Logon Ka Khana Wa Galla Chori Kerliya Karta Tha! Logon Ke Dilon May Wasvase Bhi Daalta Tha Ki Wo Apne Khwesh Wa Akraba Se Badh-Suluki Karen!

Huzoor Ne Farmaya, Tab To Tum Bure Ho! Usne Arz Ki Huzoor Mujhe Malamat Na Farmayiye! Isliye Ki Ab Main Huzoor Ki Khidmat May Tauba Karne Haazir Hua Hoon! Ya Rasoolallah! Maine Hazrat Nooh Alaihi Salam Se Mulakaat Ki Hain! Ek Saal Tak Unke Sath Unki Masjid May Raha Hoon! Isse Pehle Main Unki Bargah May Bhi Tauba Ker Chuka Hoon! Hazrat Hoodh, Hazrat Yakoob Aur Hazrat Yusuf Alaihi-Mus-Salam Ki Sohbaton May Bhi Reh Chuka Hoon! Unse Tauraat Sikhi Hain! Unka Salam Hazrat Isa Alaihi Salam Ko Pahuchaya Tha! Aye Nabiyon Ke Sardar! Hazrat Isa Alaihi Salam Ne Farmaya Tha Ki Agar Tu Mohammad SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Se Mulakaat Karen To Mera Salam Unko Pahuchana! So Huzoor! Ab Main Is Amanat Se Subuk-Dosh Hone Ko Haazir Hua Hoon Aur Yeh Bhi Aarzu Hain Ki Aap Apni Jubaan-A-Haq Tarjmaan Se Mujhe Kuch Kalamullah Taalim Farmayiye! Huzoor Alaihi Salam Ne Use Sur-A-Mursalaat, Sur-A-Amma-Ya-Ta-Saa-Aloon.. Ikhlaas Aur Mu-aawizatain Aur Ijash-Shams.. Taalim Farmayi! Yeh Bhi Farmaya Ki, Aye Hama! Jis Waqt Tumeh Koi Ehtiyaaz Ho Fir Mere Paas Aajana Aur Humse Mulakaat Na Chhodna!

Hazrat Umar Radi-Allahu-Anhu Farmate Hain, Huzoor Alaihi Salam Ne To Visaal Farmaya Lekin Hama Ki Baabat Fir Kuch Na Farmaya! Khuda Jane Hama Ab Bhi Zinda Hain Ya Margaya!

(Khulasatut-Tafsir Pg-170)

************************
SABAK:
********
Hamare Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Rasoolus-Sakhlain Aur Rasoolul-Kul Hain! Aapki Bargah-A-Aaliya Jinn Wa Ins Ki Marja Hain!
************************

Shaheel Khan

As-salam-o-alaikum my self shaheel Khan from india , Kolkata miss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.

Share
Published by
Shaheel Khan

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago