Categories: Dua

Maa Ki Dua

Hazrat Moosa(Alahe Salam)ne aik dafa Allah(Subhana-o-Tala)se poocha k Jannat main mairay sath kon hoga????
Irshad hua!”Falan Qassab(Boucher)hoga”
Aap kuch hairan huay or us Qassab ki talash main chal paray…wahan dekha to aik Qassab apni dukan main gosht baichnay main masroof tha..apna karobar khatam kar k us ne gosht ka tukra kapray main lapaita or Ghar ki taraf rawana hogaya…..

Hazrat Moosa(Alahe Salam)ne us qasai k baray main mazeed kuch jannay k liye bator Mahman ghar chalnay ki ijazat chahi
Ghar pohanch kar Qasai ne gosht ko pakaya phir roti paka kar us ne tukray shorbay(Salan)main narm kiye or doosray kamray main chala gaya…jahan aik intehai kamzor Burhya palang par laiti hui thi
Qassab ne ba-mushkil ussay sahara de kar uthaya or aik aik luqma us k monh main daita raha…jab us ne khana tamam kia to burhya ka monh saaf kia …burhya ne Qassab k kan main kuch kaha..jissay sun k Qassab muskuraya or Burhya ko wapis lita kar bahar agaya

Hazrat Moosa(Alahe Salam) jo ye dekh rahay thae,Aap ne Qassab se poocha
“Ye Aurat kon hay or is ne teray kan main kia kaha..jis par tu muskura diya???”

Qassab bola”Aye Ajnabi! Ye Aurat mairi Maa hay..ghar par anay k baad main sab se pahlay is k kam karta hun..ye khush ho k roz mujhay Dua daiti hay k Allah Tala tujhay Jannat main Hazrat Moosa(Alahe Salam)k sath rakhay…jis par main muskura daita hun k bhala main kahan or Moosa Kalim Ullah kahan????”

Noor Saba

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.

Share
Published by
Noor Saba

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago