HIQAYAT:-

Hazrat Musa Alaihi Salam Ne Ek Dafa ALLAH-TA’AALA
Se Arz Kiya, ILAHI! Mujhe Apne Adal Wa Insaaf Ka Koi
Namuna Dikha! ALLAH-TA’AALA Ne Farmaya, Accha
Fala Makaam Per Chale Jao Wahan Hamare Insaaf Ka
Namuna Dekh Loge! Hazrat Musa Alaihi Salam Us Makaam Ki Taraf Chale
Gaye Jahan Kuch Darakhton Ke Zhund The Aur Pani
Ka Saaf Suthra Chashma Beh Raha Tha! Aap Un
Darakhton May Chupker Bait Gaye, Ki Ek Ghudsawaar
Aaya! Chashme Se Thodasa Pani Piya Aur Ek Hazaar
Ashrafiyon Ki Thaili Wahin Bhoolker Chala Gaya! Itne May Ek Kamsin Ladka Wahan Aaya Aur Thaili
Uthaker
Chalta Bana! Uske Baad Ek Andha Shaks Aaya Aur
Chashme Se Wazu Karne Laga! Udhar Sawaar Jab
Thodi Dur Pahucha To Use Thaili Yaad Aayi, To
Fauran Palatker Chashme Per Aaya Aur Andhe Se Pucha To Usne Kaha Ki Mujhe Koi Khaber Nahi,
Maine Koi Thaili Nahi Uthayi! Isper Sawaar Ko Gussa
Aaya Aur Usne Andhe Ko Qatl Kerdiya! Hazrat Musa
Alaihi Salam Yeh Sab Maajra Dekh Rahe The! ALLAH-
TA’AALA Ne “WAHI” Bheji Ki, Aye Musa! Taajjub Ki Koi
Baat Nahi! Kamsin Ladke Ne Apna Haq Paliya, Kyonki Ghudsawaar Ne Us Ladke Ke Baap Se Hazaar
Ashrafiyan Zulm Se Cheeni Thi Aur Andhe Ne Sawaar
Ke Baap Ko Na-Haq Qatl Ker Daala Tha! To Har Ek
Haqdar Ko Haq Milgaya! (Nujjahtul Majalis Jild-2, Pg-104) *********************************
SABAK:-
Khuda Ki Har Baat May Koi Na Koi Hiqmat Zarur Hoti
Hain Aur Baaz Aukaat Kisi Acche Wakiye Ko Hum
Accha Nahi Samajhte Usme Yakinan Koi Raaz Hota
Hain!

Noor Saba

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.

Share
Published by
Noor Saba

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago