Islamic Knowledge

TAKBEER TASHREEQ KE MASAAIL

9wen zilhijjah ki fajar se 13wen ki asar tak har namaz e panzgaana ke baa’d joh jamat e mustahabbah ke saath ada ki gayi uske baad 1 baar takbeer buland aawaaz se kehna wajib hai aur 3 baar afzal hai,

Jise takbeer e tashreeq kahte hain woh ye hain,

اَللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَاللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ وَلِلّٰهِ الْحَمْدُ

Takbeer e tashreeq salam pherne ke baa’d fauran wajib hai yani jab tak koi aisa fea’l na kiya ho keh us namaz par bina na kar sake agar masjid se baahar ho gaya ya qasdan (jaan boojh kar) wuzu tod diya ya kalam kiya agarche sahwan to takbeer saaqit ho gayi aur bila qasd wazu toot gaya to kah le,

Takbeer tashreeq us par wajib hai jo shahar (city) men muqeem ho ya jis ne muqeem imaam ki iqteda ki ho,

Nafl, sunnat aur witr ke baa’d takbeer wajib nahin juma ke baa’d wajib hai aur namaz e eid ke baa’d bhi kah le,

Masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho) us par bhi takbeer wajib hai magar jab khud salam phere us waqt kahe aur imam ke saath kah li to namaz faasid na hui aur namaz khatm karne ke ba’d takbeer ka i’aadah bhi nahin,

Aur dino men namaz qaza ho gayi thi ayyam e tashreeq men uski qaza padhi to takbeer wajib nahin yunhi in dino ki namazen aur dino men padhi jab bhi wajib nahin,

Munfarid (tanha bagair jamat se namaz padhne wala) par takbeer wajib nahin magar munfarid bhi kah le keh saahibain ke nazdeek us par bhi wajib hai,

Imam ne takbeer na kaha jab bhi muqtadiyo par wajib hai,

Aurato par takbeer tashreeq wajib nahin, Isi tarah musafir par bhi wajib nahin…….(Bahare Shariat)

Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago