Islamic Blog

Shab e Barat ki Namaz

Shab-e-baraat kya hai??

#1
Shab-e-Baraat – Gunnahon Se Tauba Karne Wali Raat
SHAB-E-BARAT Gunahon per nadamat aur Duaon ki qabuliat ke qeemti lamhat

Quran Majid main Irshad-E-Bari Ta’ala hai:” Is raat main her hikmat wala kaam hamaray (Allah Ta’ala ke) samne peish ho kar te kiya jata hai.” (Surah Dukhan)
Shah Abdul Aziz Muhdis Dehlwi R.A farmatay hain ke is raat Khudawand Karimki janib se bare bare kaamon k faisle hote hain aur baz mufsarin ke mutabiq is raat se murad Mah-E-Shabaan ki pandharwin (!5th) raat hai jo Urf-E-Aam main “Shab-E-Barat” ke naam se mashoor hai. is raat ke kai naam hain:

1 : Lailatul Barah yani Dozakh se nijat ki raat
2 : Lailaitul Sa’ak yani dastwiz wali raat
3 : Lailatul Mubarka yani barkatoon wali raat

Shab-E-Braat k mutaliq yeh baat wazeh hona chahye k is ki fazilat Ramzan-Ul Mubarak ki Shab-E-Qadar se kaam hai, lekin is ki fazilat se inkar karna bilkul assay hi hai jaise suraj ki mujedigi main is ka inkar.

Shab-E-Barat ki fazilat Aahdis Mubarka ki roshni main:

Riwat k mutabiq Allah Ta’ala Shabaan ki Pandharwin (15th) Aasmain dunya per nazul farmata hai au Qabila Banukalb ki Bakriyun (goats) ke baalon ki tadad se ziyada gunah garoon ki bakshish farmata hai, ( Trmazi, Ibn Majah) jab Shabaan ki pandriwin raat ati ha to Allah Ta’ala ki taraf se aik ailan karne wala yeh ailan karta hai k, hai koi Bakshish ka talabgar k main issay bakshish doon, hai koi sawal karne wala k main is ka sawal pura karoon (behiqi).
Shab-E-Baraat se mutaliq humein Sarkar-E-Do Aalam (S.A.W) ka ye Irshad-E-Garami bhi milta hai
“Mujhe Jibrail ne aa kar ye basharat sunai ke ye shaban ki pandhriwin (15th) raat hai. Is raat ALLAH TALLAH banukalb ki bakriyoon (goats) k baloon ke barabar logoon ko dozakh se aazad farmata hai”.

Shab-E-Barat main kiya hota hai.

Hadees ki mashoor kitab behiqi ki riwayat ke mutabiq Sarkar-E-Do Aalam(S.A.W) ne Sayedah Aisha Sidiqqah(R.A) ko mukhatib kar k farmaya “Kiya tumhein maloom hai k Shabaan ki is raat main kiya hota hai? Aap (S.A.W) ne farmaya: “Is raat main is saal jitne paida hone wale hone wale hain wo saab (yani k mutaliq aahkam) likh diye jate hain aur jitne is saal marne wae hain, wo sab bhi is raat likh diye jate hain aur issi raat main tamam bandoon ke ( saal bhar ke) aamal authaye jate hain aur raat main logoon ki rozi autarti hai.” Aamal authaye jane ka mutlab yeh hai k Aamal Darbar-E-Khudawani main paish hote hain aur rozi autarne ka mutlab yeh hai k aik saal jitni rozi insaan ko milne wali hai, wo sab likh di jati hai.

Aik riwayat main aata hai k is mahine ki pandhariwin (15th) raat main Malik-Al-Moot ko aik register diya jata hai, aur hukum diya jata hai k purey saal main marne waloon ke naam is register main likh do, chunacha koi aadami kheti bari karta hai, koi nikh karta hai, koi kothi aur building bane main mashghool hota hai, magar is ko yeh maloom nahi hota k mera naam marne waloon ki fehrist main likha gaya hai.
Sayadna Siddique Akbar (R.A) ka farman: Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) farmate hain k Allah Ta’ala Shabaan ki pandharawin raat ko Aasan dunya per nazool farmata hai aur har gunnahgar ki maghfarat farma deta hai, magar mushrik ki bakshish nahi hoti aur Allah Ta’ala un logon ko nahi bakshta, kena aur aadawat aur aik dusroon ki dushmani bahri hoti hai.(Sanan Behiqi)
Sayedna Hazrat Ali (R.A) ka aamal :-
Sayedna Hazrat Ali (R.A) k mutaliq hai k wo or is raat main baar baar ghar se bahar nikal kar aasman ki taraf nigah utha kar dekhte or phir farmate k Hazrat Daud (A.S) bhi is raat main asse hi baar baar bahar nikal kar aasman ki taraf dekha karte the or farmaya karte the
“yeh aisi gahri (time) hai ka jo is main ALLAH TA’ALA se dua mangta hai, ALLAH TA’ALA isse qabool farmata hai
aur jo is se bakshish manta hai,wo isse baksh deta hai, bashartyeke mangne wala (zulm se) tax na wasool karta ho,
ya jadoogar na ho, ya najoom ki baatein na batlata ho,ya jallad ya fal nikalne wala na ho ya juwa kelne wala ya baja bajane wala na ho.”(Ibn-E-Majah)
Shab-E-Baraat ki kuch khuosiyaat:

Shab-e-Baraat ki ahadees main jo khusosiyaat bayan ki gai hain, wo yeh hain:

1: Ghroob-e-aftab k baad se tulo-e-subah sadik tak haq tallah ke khusosi tajaliyaat aur anwaar ki musalsal barish or aasmani duniya ki taraf ALLAH TA’ALA ka nuzool.
2: ALLAH TA’ALA ki apne bandoo per khusosi rehmat or sari raat farishtoon k zarye gunnahgaroon ki talb-e-magfirat, bimaroon
ko talb-e-aafiyat-o-sehat, hajat mandoon ko apni hajat poori hone k liye dua mangne ki dawat .
3 :Bimaroon, gunahgaroon aur hajatmandoon waghera ke liye qabooliyat-e-edua ki bishrat.
4: Gunnahgaroon ko apne gunnahoon se sachi toba karne per Janat ki basharat aur dozakh se nijat ka parwana
5: Aik saal k ander marne wale, paida hone wale, Hajj karne wale logon k mutaliq faisla farishtoon k sapurd kar diya jata hai
Shab-E-Barat ( 15th Shaban ) k rozay ka hukum :- Agercheh 15 Shabaan ka roza farz ya wajib nahi, balke nafli hai, magar is ka bara Agar-O-Sawab hai. Sayedna Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai k Aap (S.A.W) ne irshad farmaya: “Jab Shaban ki pandhriwin raat aaye to is raat ko qayam karo (yani namazein parho) aur (aglay) din ka roza rakho.
Shab-E-Baraat main Qabristaan jane ka hukum:- Sarkar-E-Do Aalam (S.A.W) SE Shab-E-Baraat main qabristaan jan sabit hai, lekin wo bhi bilkul akele khamoshi se, is mokay per qabristan main mahez ghumne phirne k liye jana, mela lagana ya khilaf-shara koi kaam karna munasib nahi.

Is raat kin aamwar se bachna zaroori hai? : Shab-E-Baraat jo k bari fazilat wali raat hai, is main aksar hazraat la-ilmi main kharafat k martkab hote hain, khususan bache baroon ki sarparasti main aatish bazi karte hain, yeh bohat bara gunnah hai, Khususan dusroon takleef de kar khush hona issi tarahan paisoon ka zaya karna jo k israf hai aur Quran main assay logon ko Shetan ka bhai kaha hai. Is tarhan baz log toliyon ki surat main gup shup karte hain, ghibat aur gunnah k martakab hote hain, is se bachna bhi bohat zaroori hai.

Baz Hazraat raat teen (3), char (4) baje tak jagte hain phir so jate hain aur Fajar ki namaz nahi parhte, yeh bhi sakth gunnah hai. Hadees main hai k ager banda Isha ki namaz jamat se parhe aur Fajar ki namaz parhe aur darmiyan main koi gunnah ka kaam na kare aur so jaye to is ki sari raat ibadat main shumar hoti hai.
Aaye is mubrak raat main ehad (promise) karein k aainda koi gunnah ka kaam na kareinge, kisi ki haqtallfi na kareinge, apni zaat se bhaliye aur deen ka kaam kareinge aur is raat main hasb-e-istata’at, Tilawat, Zikar-o-Aazkar, Salat-ul-tasbeh aur nawafil waghera ka ahtamam kareinge aur saath hi umat-e-muslima k liye khusisi dua’ein karein k Allah ki rehmat hamari taraf mutawaja aur aaj musalaman jis mushkil surat-e-haal se do char hain is khatama ho (Aameen).

Shab e Barat ki Namaz ka Tarika Hindi

1-Maamoolaat auliaye karam mein se hai keh maghrib ke farz o sunnat waghirah ke baad 6 rikat nafal do do rikat kar ke ada kiye jayein.
pehli do rikat se pehle yeh niyat karein:” Ya Allah ! in ki barkat se darazi umer bilkheir ata farma.” is ke baad do rikat mein yeh niyat karein:” Ya Allah in ki barkat se tamam blaon aur aafaat se meri hifazat farma.”
Is ke baad wali do rikaton ke liye yeh niyat karein:” Ya Aallah! In ki barkat se apne sewa kisi ka mohtaaj na kar!
Har do rikat ke baad 21 bar surah ikhlas(puri surat) ya aik bar surah yaseen parhein, balkeh ho sake to donon hi parh lein. Yeh bhi ho skta hai keh koi aik fard yaseen shareef buland aawaz se parhe aur doosre khamoshi se sunein.
Is mein yeh kheyal rakhein keh doosra is doran zuban se yaseen shareef balkeh kuch bhi na parhe . Insa Allah raat shuru hote hi sawab ka anbaar lag jaye ga. Har bar yaseen shareef ke baad duaye nisf shaban bhi parhein.

2-Hadees mein aaya hai:” jo shakhs is raat mein 100 nawafil ada karta hai, Allah tala is shakhs ke liye so farishton ko mamoor kar deta hai. 30 ise jannat ki basharat dein, 30 azaab o ghazab se imaan dein, 30 dunya ki balaon aafaton se door rakhein, aur 10 shaitan ke mkr o fareb aur dhoke se bachayein.”

chodhween aur pandharween (14 aur 15 shaban) tarikhon mein fazilat o barkat wali woh raat aati hai jise lailatul barat kah gia hai. Barat ke maine kisi ko kisi zumme dari se aazad kar dene ke hain. Is ko awam unnas shab barat kehte hain jis ke be shumar ausaaf biyan huye hain.

1- Quran e hakeem furqan e majeed mein irshad bari tala hai:” Qsam hai is roshan kiaab ki! Be shak! Hum ne ise barkat wali raat se murad shaban ki pandharween shab hai. Ps is aayat mubarkah se is mah aur khas kar pandharween raat ki fazilat waza ho gayi.

2-Hazoor kareem (S.A) irshad farmate hai:” jb nisf shaban ki padahrween raat ho to shab bedari karo aur din mein rozah rakho, kiun keh Allah tala is raat mein suraj ghoroob hote hi aasman dunay par nazoool ijlaal farmata hai aur farmata hai: koi hai maghfarat chahne wala keh mein is ko baksh don? koi hai rozi mangne wala keh mein use rozi don aur hai koi mosibat zada keh mein use sehat o aafyat marhamat karon.”

3-Shab barat mein bandah saal guzashtah ke hisab kitab se bari ho jata hai aur aaindah saal ke liye be muradon ko murad, rizq se mehroom logon ko rizq, be rozgaron ko rozgar, be aulaadon ko aulaad, pareshan halon ko itminaan, be qararon ko sakoon aur tng dston ko khsuh hali ki dolat se sar faraz farmaya jata hai.

4- Aap (S.A) ne irshad farmaya:”Nisf shaban ki raat Allah tala banu kalb ki bakriyon ke balon se zaid logon ko bakhsh deta hai. Isi liye is raat ko lailatul rehmah yani rehmat wali raat bhi kaha jata hai.

5- Hazrat Abbas se rawayat hai keh Jibrail ameen bar gah risalat (S.A) mein hazir huye aur arz kia: Ya Rasool Allah! Yeh woh raat hai jis mein aasman ke drwaze khol diye jate hain. Aap (S.A) namaz parhye aur dua ke liye apne hath utheiye.”
Hazoor (S.A) ne dryaft farmaya:” Yeh raat kaisi hai?”
Jibrail (A.S) ne arz kia:” Yeh woh raat hai jis mein rehmat ke 300 drwaze khul jate hain, Allah tala is raat mein har is shakhs ki maghfarat farmata hai jo maghfarat mangay, sewaye in ds afrad ke:”mushrik, kaahin, jadoo gar, kinah parwar, waldain ka nafarman, sood khor, sharabi, zaani aur zakhirah andozi karne wala”.

6- Hazrat Shekh Abdul Qadir Jilani (R.A) farmate hain:”Allah tala ki rehmaton se jo shakhs mala maal hona chahe to is ko chahiye keh woh Shaban ul Muazzam mein tazkiya nafs, islah batini aur taharat rooh ka khas tor par ahtamam kare, yani apne ko tobah o astaghfar kar ke gunahon se paak o saaf kare aur apne batin yani dil ko kadoorat , kinah, bghz o hasd se khali kar de drbar khudawandi mein aajzi o inkesari se dua kare.

Shab barat tajjliyat o anwar ki raat hai, Allah Tala is shab mein tamam ummat muslimah ko amal salah ki tofeeq ata farmaye aur is shab ki barkat o anwar se mustafeed farmaye.

6 Rakat:- Magrib Ki Namaz Ke Baad 2-2 Rakat Karke 3 Salam Se Padhe-

2 Rakat Daraazi-A-Umr Ki Niyat Se,

2 Rakat Khushadgi Rizk Ki Niyat Se,

2 Rakat Dafa-A-Imraaz Wa Balayaat Ki Niyat Se,

Har 2 Rakat Ke Baad Sur-A-Yasin Ek Bar Ya Sur-A-Ikhlas 21 Bar Padhe!
Iske Baad Dua-A-Nisf Shabaan Padhe!

(Noorani Raatain)
********************
1f339🌹DUA-A-NISF-SHABAAN:1f339🌹
***************************

Allah-Humma-Ya-Zal-Manni-Wala-Yu-Mannu-Alaihi!
Ya-Zaljali-Wal-Ikraam!
Ya-Jath-Tauli-Wal-Inami!
La-Ilaha-Illa-Anta-Zahral-Lazina!
Wa-Jaaral-Musta-Jirina!
Wa-Amanal-Khayifina!
Allah-Humma-In-Kunta-Katab-Tani-Indaka-Fi-Ummil-Kitaabi-Shaki-Yan-Aw-Mah-Ru-Man-Aw-Matru-Dan-Aw-Mukattaram–Alai-Ya-Fir-Rizki!
Fa-Am-Hu-Allah-Humma-Bi-Fadhlika-Shaka-Wati-Wa-Hir-Ma-Ni-Wa-Ter-Di-Wa-Iktita-Ra-Rizki!
Wa-Asbithni-Indaka-Fi-Ummil-Kitaabi-Sayi-Dam-Mar-Zu-Kam-Mu-Waffa-Kal-Lil-Khairaate!
Fa-Inna-Ka-Kulta-Wa-Kaulu-Kal-Haqqu!
Fi-Kitaabi-Kal-Munzali!
Ala-Li-Sani-Nabiyi-Kal-Mursali!
Yam-Hullahu-Ma–Yasha-U-Wa-Yusbitu-Wa-Indahu-Ummul-Kitaabi!
Ilaahi-Bith-Tajallil-Aazami!
Fi-Lailatin-Nisfi-Min-Shehri-Shabaa-Nal-Mukarram!
Al-Lati-Yufraku-Fiha-Kullu-Amrin-Hakimiv-Wa-Yubramu!
An-Takshifa-Anna-Minal-Balaayi-Wal-Balwaayi-Ma-Na-La-Mu-Wa-Ma-La-Na-La-Mu!
Wa-Ma-Anta-Bi-Hi-Aa-La-Mu!
Innaka-An-Tal-A-Az-Zul-Akra-Mu!
Wa-Sallallahu-Ta’aala-Ala-Sayyadina-Mohammadiv-Wa-Aala-Aalihi-Wa-Sahbihi-Wa-Sallam!
Wal-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin!

Aameen Ya Rabbul Aalameen!

*********************
1f337🌷SALAAT FATIMA-TUZ-ZOHRA1f337🌷
*********************************

Hazrat Shaikh Abul Kasim Safa Se Mankul Hain Ki Ek Roz Maine Hazrat Fatima Radi-Allahu-Anha Ko Khwab May Dekha!Baad Salam Ke Maine Arz Kiya Ki Aye Khatoon-A-Jannat Aap Kis Chiz Ko Zyada Dost Rakhti Hain Ki Rooh-A-Mubarak Ko Bakshun! Farmaya Sayyad-A-Kaunain Ko Dost Rakhti Hoon! Shabaan Ke Mahine May 8 Rakat 2 Salam Se 4 Qaidah Ke Sath Aur Har Rakat May Baad Al-Hamdh Ke Sur-A-Ikhlas 11 Bar Padhe!Jo Koi Yeh Namaz Mah-A-Shabaan May Padhe Aur Mujhe Iska Sawab Bakshe To Aye Abul Kasim Main Hargiz Kadam Na Rakhugi Jannat May Jabtak Ki Uski Shafa-at Na Karaoun!

(Shahoor Wa-Siyaam)

Dua e Nisf Shaban Ul Muazzam With Translation | Shab e Barat Ki Dua

Shab E Barat Ke Din QABRO KI ZIYARAT KA EHTAMAAM

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 5)

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 4)

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 3)

SHAB E BARAT KI HAQIQAT( PART 2)

SHAB E BARAT KI HAQIQAT

Shab E Barat – Night of Forgiveness

शब-ए-बारात (SHAB-E-BARAT)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm