Islamic Blog

Hadees e Nabawi :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hazrat Abu Qataada Ansaari radiy-Allāhu ta’ala nahu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se Arafa (9 Zil Hijjah) ke Roze ke baare me puchha to Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Ye guzre hue ek saal aur aage aane wale ek saal (ke saghira gunaaho) ka kaffaara hai.’

(Sunan Ibne Maajah, Jild -1, Hadees -1730)

*************
Note :
‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aashiqaan e Rasool ko chaahiye ke 9 Zil Hijjah ko Roza rakhkar foyuz o barkaat haasil karen aur apne gunaaho ki bakhshish karayen.
Mumkin ho to 8 aur 9 Zil Hijjah ke 2 roze rakhen.
Aur Roze ke dauraan Zikr o Durood aur Astaghfaar ki kasrat karen.

(2) Hindustan aur is ke qareeb ke mulko me 9 Zil Hijjah Peer ke roz (Monday) hai aur Saudi Arabia aur Arab (Gulf) ke mulko me 9 Zil Hijjah Itwaar ko hai.

(3) Eid-ul-Ad’ha aur Ayyaam e Tashreeq (10 se 13wi Zil Hijjah) ke Roze rakhna Makrooh e tehreemi hai.

***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur In baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm