Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Shaks Jiska Naam Kaamil Tha! Hazrat Maula Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Sath Kahin Ja Rahe The Ki Raaste May Ek Qabristan Aagaya! Hazrat Ali Ne Wahan Qabr Walon Se Khitaab Farmaya!
Farmaya, Aye Wahshat Wa Tanhayi Walon! Kya Khaber Hain Aur Kya Haal Hain? Fir Irshad Farmaya Ki Hamari To Yeh Hain Ki Tumahre Baad Tumahre Maal Taksim Hogaye, Tumahri Aulaadain Yateem Hogayi, Tumahri Biwiyon Ne Dusre Khawind (Shoher) Kerliye!
Yeh To Hamari Khaber Hain! Tum Apni To Kaho! Kaamil Kehte Hain Ki Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Fir Meri Taraf Mukhatib Hue Aur Farmaya, Ki Aye Kaamil! Agar In Logon Ko Bolne Ki Ijazat Hoti To Yeh Log Jawab May Yeh Kehte Ki Behtarin Tosha Takwa Hain! Yeh Farmaya Fir Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Rone Lage!
Farmaya, Aye Kaamil! Qabr Amal Ka Sandook Hain Aur Marne Ke Baad Qabr May Is Baat Ka Ilm Hojata Hain!

(Hujjatul Alal-Aalameen, Pg-862)

************************
SABAK:-
********
Marne Ke Baad Sab Kuch Yahin Reh Jata Hain! Sab Chizen Dusron Ke Kabze May Aajati Hain! Insaan Ke Sath Agar Koi Chiz Jati Hain To Nek Aamaal, Ba-Qaul-A-Shayer-

Kaha Ahbaab Ne Yeh Dafan Ke Waqt,
Ki Hum Kyonker Wahan Ka Haal Jane,
Lahadh Tak Aapki Taazim Kerdi,
Ab Aage Aapke Aamaal Jane!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Qabr Amal Ka Sandook Hain! Jis Tarah Sandook May Chizen Mehfuz Rehti Hain, Isi Tarah Aadmi Jo Kuch Accha Bura Kaam Karta Hain Wo Sab Uski Qabr May Mehfuz Rehta Hain!
************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm