Buzurgan-e-deen

Hazrat Shaah Sayyed Kamaal Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi :

Aap ki wilaadat 26 Ramazaan 894 Hijri (20 August 1489 A.D.) ko Baghdad me hui

Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡe aazam Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

**************
Ek martaba Aap ke jadde amjad Hazrat Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ko khwaab me bashaarat di ke ‘Shaah Kamaal! Yaha tumhara kaam pura hau hai. Ab tumhe us ilaaqe me jaana hai jaha tumhari zaroorat hai.’

Aap 928 Hijri (1522 A.D.) me Sher Shaah Suri ke zamaane me Baghdad se Hind me tashreef laaye the.
Kuchh arsa Multan me qayaam karke taaleeme deen karte rahe.
Phir Kamaliya tashreef gaye. Yaha ka Kharal Rajput Raaja aap ki taaleem se musalman hua.
Phir Lahore, Ludhiana, Sirhind aur Samana hote hue Kaithal tashreef laaye aur sukoonat pazeer hue.

Kaithal me Laal Maidni-mal Aap ki baargaah me musalman hue. Laal Maidni-mal Mughal baadshaah Akbar ke musheer (advisor) the. Hazrat ne un ka naam Shaikh Tayyab rakha aur baad me un ko khilaafat ata farmai.

**************
Aap Saahib-e-karaamat aur Shaikh-ush-Shuyukh the.

Aap ki taaleem, faiz aur karaamat se hazaaro mushrikeen musalman hue aur be-shumaar log hidayat paakar taa’ib hue.

***************
Wazeer, Jaagirdaar aur Umra Aap ko tohfe dene ki koshish karte magar Aap un ko lene se inkaar karte.
Sher Shaah Suri ne ek martaba Aap ko Ashrafiyo se bhari hui theliya batore hadiya bheji to Aap ne lene se inkaar kiya aur khat likhkar farmaaya ‘Maine tumhe apna dost banaaya tha magar tum ne mujhe wo cheez bheji jo ALLĀH ta’al ko pasand nahi hai.’

***************
Aap kai baar Mujaahida wa Riyaazat me itne mashgool ho jaate ke hafto tak Aap Aalam me Wajd me rehte aur dunya se be-khabar ho jaate.

***************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek martaba Kaithal me qahet pada. Hazrat ne ek Muslim ko aur ek Hindu Brahmin ko 2 badi deg me Dalya (ek qism ka khaana) banaane ke liye farmaaya. Jab deg tayyaar ho gai to Aap ne elaan kara diya ke jis ko bhi zaroorat ho din me ya raat me kabhi bhi aakar is deg se Dalya le jaaye. Log un deg me khaana le jaakar khaate rahe. Yaha tak ke qahet khatm ho gaya magar un deg me khaana baaqi raha.
Haal me bhi Aap ke mazaar par Saawan ke mahine me har Jumeraat ko Dalya pakaaya jaata hai aur har qaum ke log haazir hokar khaate hain.

***************
Aap ke mashhoor shaagird :
(1) Shaah Shakoor
(2) Sayyed Eisā Bukhari
(3) Shaikh Noor Jamaal
(4) Jalaal-ud-deen Khaggah Multani.

****************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Shaah Sayyed Qub-ud-deen Abul Makarim, Moosā
(2) Shaah Sayyed Imaad-ud-deen.

*****************
Aap Hazrat Shaah Fuzail Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Qaadri Kamaali’ silsila jaari hai.

Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Shaah Sayyed Qub-ud-deen Abul Makarim, Moosā Qaadri rahmatullāhi alaihi
(2) (Aap ke pote) Hazrat Shaah Sayyed Sikandar Qadri Kaithali rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Tayyab rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Malik-ul-Ulama Shaikh Abdul Ahad Faarooqi Kabuli rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Mulook Shaah Ghaazi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Sher Shaah Mash’hadi rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Haafiz Ismāeel Multani rahmatullāhi alaihi.

*****************
Aap ka wisaal 28 Jamaadi uṡ Ṡaani 981 Hijri (25 October 1573 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kaithal (Haryana) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Sayyed Kamaal Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Noor Aqsa

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.

Share
Published by
Noor Aqsa

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago