Islamic Blog

HIQAYAT
*******
Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Ki Jab Wiladat Sharif Hue. Us Waqt Huzoor Ke Dadajaan Hazrat Abdul Muttalib Radi Allahu Ta’ala-Anhu Kaaba Sharif Ki Diwaar Ki Taamir Me Mashgul The. Abdul Muttalib Farmate Hai Ki Mai Kaaba Sharif Ka Tawaaf Ker Raha Tha Ki Achanak Kaaba Sharif Charo Taraf jhukta Nazar Aaya Aur Fir Makaam A Ibrahim Me Sajda Me Gir Gaya Aur Usme Se Takbir Wa Tahlil Ki Awaaze Aane Lagi Fir Wo Sidha Khada Hogaya, Isse Awaaz Aayi
Sab Tarif Us ALLAH Ke liye Hai Jisne Mujhe Mohammad SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Ke Sath Maqsus Farmaya.Fir Arkaan A Kaaba Aapas Me Ek Dusre Per Salam Bhejne Lage Hazrat Abdul Muttalib Farmate Hai Ki Mai Baab A Safa Se Baaher Nikla To Zamin Ki Har Chiz Mujhe Takbir Wa Tahlil Me Mashgul Nazar Aayi. Mai Unki Awaaz Sun Raha Tha Fir Ye Awaaz Suni Ki
Tumahre Paas Rasool SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Tashrif Le Aaye, Fir Maine Boothon Ko Dekha To Wo Aundhe Mooh Gire Hue Nazar Aaye. Mai Apni Aankhen Malne Laga Ki Ye Jo Kuch Mai Dekh Raha Hu Aalam A Bedaari Me Hai, Aalam A Gaib Me Dekh Raha Hu. Jab Ghar Pahucha To Ghar Ke Irdh-Girdh Ajeeb Wa Gareeb Noorani Parinde Udte Dekhe Aur Ghar Se Mushk Wa Amber Ke Hulle Uthte Nazar Aaye. Maine Darwaza Khat khataya To Aamina (Radi Allahu Ta’aala Anha) Khud Nikli Aur Darwaza Khola. Maine Dekha Ki Aamina Ke Chehre Per Koi Zauf Wagaira Ka Asar Nahi Tha Haan Uski Peshani Per Jo Noor Chamakta Nazar Aaya Tha Wo Nazar Na Aaya. Maine Pucha, Aamina, Peshani Ka Wo Noor Kahan Hai? To Boli, Mere Yahan Ek Baccha Paida Hua Hai Jiski Wiladat Ke Baad Haatif Se Mujhe Awaaz Sunayi Di Hai Ki Iska Naam Mohammad Rakhna! (SALLALLAHU TA’AALA ALAIHI WA SALLAM) Isliye Ki, Iska Aasmaano Per Naam Mahmood Hai Aur Tauraat May Maawid, Zaboor Me Haadi, Injeel Me Ahmed Aur Quraan Me Taha, Yaseen Aur MohammadHain. Hazrat Abdul Muttalib Farmate Hai Ki Maine Aamina Se Kaha, Chalo Mujhe Mera Pyara Baccha Dikhao, Chunanche, Jab Mai Aage Bada To Ek Azim Shaks Talwaar Khinche Raaste Me Khada Nazar Aaya! Jisne Aage Badne Se Roka, Abdul Muttalib Dar Gaye, Pucha Ki Tum Kaun Ho? Kiyu Rokte Ho? Wo Bola, Is Muqaddas Mauludh Ki Jabtak Saare farishte Ziyarat NaKerlege Kisiko Aage Jane Ki Ijazat Nahi! Mai Isi Kaam Ke liye Yahan Maujood Hu
(Jaami-Ul-Moajizaat Page-76)

SABAK
*****
Hamare Huzoor SALLALLAH TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Kaaba Ka Bhi Kaaba Hai Kaaba Sharif Ki Saari Izzate Hamare Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Hi Ke Sadqe Me Hai Ye Bhi Maloom Hua Ki Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Ki Tashrif Aawari Ki Khushi Saari Qainaat Ne Manayi Kisine Takbir Wa Tahlil Ke Naare Bulandh Karke Aur Kisine (Buto Ne) Aundhe Mooh Girker Mooh Chipaker, Ye Bhi Malum Hua Ki Baccha Paida Hone Per Iska Naam Uske Maa-Baap Rakhte Hai, Ya Bahen-Bhai Aur Digar Akraba, Magar Huzoor SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM Ka Naam
Khud Khuda Ta’ala Ne Rakha Hai.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm