Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dushman Mulk-e-sham mein jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke liye jama honge
————–
✦ Yasir Bin jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar kufa mein laal (Red) aandhi aayee , ek shakhs aaya aur kahney laga ki Eh Abdullah bin masood
Qayamat aa gayee, ye sunkar Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu baith gaye unhoney kaha ki Qayamat us waqt tak nahi aayegi jab tak meeras ka maal batna
band na ho jaye aur maal-e-ganeemat se khushi hona band na ho jaye , (kyunki koi waris hi zinda nahi rahega to meeras ka maal kaun lega aur jab koi ladaii
se zinda wapas hi nahi aayega to maal-e-ganeemat se khushi na hogi) .

✦ Phir apne haath se ishara kiya Shaam ke mulk ki taraf aur kaha ki Dushman (Nasara) jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke
liye jama honge, mainey kaha Dushman se tumhari murad Nasara hai unhone kaha haan aur us waqt sakht ladaii hogi , musalman ek lashkar ko aagey bhejenge jo
marne ke liye aage badega aur bagair jeet ke wapas na lautega ( yani is irade se aage jayenge ki ya shaheed ho jayenge ya fateh hokar aayenge) , phir dono
lashkar jung karenge yahan tak ki raat ho jayegi phir dono taraf ki faujain (Army) laut jayegi , kisi ko jeet hasil nahi hogi, jo lashkar jung ke liye gaya
tha wo bilkul fana ho jayega,

✦ Phir Musalamn ek lashkar aage bhejenge jo shaheed hone ke liye ya jeetne ke liye jayega aur jung hoti rahegi yahan tak ki (phir) raat ho jayegi aur dono
tarak ki faujein laut jayegi aur kisi ko jeet hasil nahi hogi aur wo lashkar bhi fana ho jayega , (isi tarah) jab chotha ( fourth day) din hoga to jitne
musalman baqi rah gaye hain wo sab aage badenge us din Allah subhanahu kaafiron ko shikast dega aur aisee ladaii hogi ki kisi ne na dekhi hogi yahan tak ki
parinda unke upar se udega aur wo aage bhi nahi pahuchega ki wo murda hokar gir jayenge ( yani us daur mein latest weapon ki wajah se ek prinde ke udne se
bhi jaldi log mar jayenge) aur 100 mein se sirf ek shakhs hi zinda bachega, aisee halat mein kaunsa maal-e-ganeemat se khushi hogi aur kaunsa meeras ka maal
taqseem kiya jayega.

✦ Phir musalman isee halat mein honge ki ek aur badi aafat ki khabar sunege , ek pukarne wala kahega ki Dajjal ( Anti Christ) unke baal bachcho ( family) ke
beech aa chuka hai, ye sunte hi jo kuch unke haatho mein hoga usko chod kar rawana honge aur das sawaron ko pahle aage rawana karenge ( dajjjal ki khabar
lane ko) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main un sawaron ke aur unke Walid ke naam janta hu aur unke ghodo ( horse) ke rang janta hu wo
sari zameen ke behtar sawar (riders) honge ya behtar sawaron mein se hongey us din.
Sahih Muslim, Vol 6, 7281

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm