Islamic Blog

Haji Ali bhi Dusre insano ki tarah ek insan hain. Wo khuda nahi hain. Aur insan hone ke nate un par bhi shariyat lagoo hoti hai.
Koi bhi sufi sant shariyat se upar nahi hota. Chahe wo Haji Ali pir hon ya Ajmer wale Khwaja Banda Nawaz. Koi bhi pir shariyat se uncha nahi hota.
Shariya sirf aurton ke liye hi nahi hai.
Shariya mardon ke liye bhi hai. Islam mein gair mard aur aurat mein parde ka hukm hai. Phir wo mard sufi sant hi kyun na ho. Har wo mard aur aurat jin ke darmiyan khoon ka rishta nahi hai. Wo ek dusre ke liye na-mehram hain. Shariyat ke mutabik unhe ek dusre se parda karna hoga.

Dusre Haji Ali, Allah ke sache wali hain. Aur jo wali hota hai, wo zinda hota hai. Aam logon ki tarha murda nahi hota. Wo apni qabar mein se hamein dekh sakta hai. hamari awaz sun sakta hai. Un ka jism hamare jism ki tarha zinda hota hai.

Aur jo zinda hai us par shariyat ka qanoon lagoo hota hai. Lihaza agar Haji Ali Pir Apni qabar se bahar hote to wo kisi aurat ko apne itne kareeb kabhi bhi na aane dete. Kyun ki wo shariyat ki hadd jante hain. Is liye kisi bhi aurat ko un ki qabar ke itne qareeb nahi jaana chahiye.

Usi tarha agar qabar kisi aurat ki ho. to mardon ko us qabar ke itne qareeb nahi jaana chahiye. Is soorat mein mardon ko us aurat se parda karna hoga.

Qabar wala us aurat se parda na kar pane ke liye majboor hai. Kyun ki wo apni qabar mein qaid hai. Ab agar koi aurat jaan boojh kar qabar ke itne qareeb jaati hai, to wo sakht gunahgar hogi. Kyun ki ek to wo shariyat ko todh rahi hai, dusre wo qabar wale ki be-adabi bhi kar rahi hai. jo Allah aur us ke Rasool ki narazgi ka sabab hoga.

Please SHARE this to other people. So that every one will know the true shariyat.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm