Islamic Blog

Cheenk ka jawab dena wajib hai aur uska jawab dena fauran wajib hai aur istarah dena ki cheenkne wala sun le wajib hai jis tarah salam ke jawab mai hai yahan bhi hai,

Cheenk ka jawab ek martaba wajib hai dobara aye toh jawab wajib nahi balki mustahab hai,

Jisko cheenk aaye use “Alhamdulillah” kehna chahiye aur behtar hai ki “Alhamdulillahi Rabbil Aalameen” kahe aur sun ne wale par jawab dena wajib ho gaya yani sun ne wala us hamd ke jawab mai “Yarhamuqallah” kahe,

Jawan aurat ko cheenk aaye aur woh hamd kahe toh mard istarah jawab de ki woh aurat na sune,

Khutba e juma wagaira mai cheenk ayi aur cheenkne wale ne “Alhamdulillah” kaha toh sun ne wala usko jawab na de,

Kafir cheekne par “Alhamdulillah” kahe toh jawab mai “Yahdiqallah” kahen,

Cheekne wale ko chahiye ki jor se hamd kahe taaki koi sune aur jawab de, kuch log jama hain unmai se agar ek ne jawab de diya toh sabki taraf se jawab ho gaya aur behtar hai sab jawab den,

Cheenkne wale se pahele sun ne wale ne hamd kahi toh ek Hadees e Pak mai aaya hai ki yeh shaksh daant aur kaan ke dard aur tukhma (ek bimari ka naam) se mehfuz rahe ga aur ek Hadees e Pak mai hai ke kamar ke dard se mehfuz rahega,

Cheenk ke waqt sar jhuka len aur awaz ko past karle cheenk ki awaz buland karna himakat hai,

Hadees e pak mai hai ki baat karte waqt cheenk ka aana shahid e adl hai yani baat ke sahi hone ki gawahi hai, aur cheenk aane ko bura khayal karna maslan kuch log kahin jaate waqt cheenk aye toh use bura khayal karte hai ki ab kaam pura nahi hoga jihalat hai, jabki Hadees e Pak mai ise shahid e adl kaha gaya hai ise bura kehna sakht galti hai, (Bahare Shariat)……..

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)