Islamic Blog

《Fazilate Taqwa Aur Tawakkul 》

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيم

Al-Quraan: Jo Shakhs Allah Aur Roze Qayamat Par Imaan Rakhta Ho
Aur Taqwa Ikhtiyar Kar Ley Tou Allah Uskey Liye Nijaat Ke Rastey Nikal Deta Hai.
Aur Waha Se Rozi Ata Karta Hai Jaha Se Usney Gumaan Bhi Naa Kiya Ho.

[Surah(65) At-Talaq: Ayat:2-3]

¤ Iss Aayat Ke Talluk Se Abdullah Ibne Masud (Razi’Allahu Anhu) Farmatey Hai –
“Ghamo Ko, Musibato Ko Door Karne Wali Quraan Ki Sabse Azeem Aayat Hai”.

» Mahfum-e-Hadees:

¤ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki –
“Agar Tum Allah Ta’ala Per Aisa Tawakkul Karo Jaisa Karne Ka Haq Hai,
Tou Woh Tumhe Iss Tarah Rizq Ata Farmayega, Jis Tarah Parindon Ko Ata Farmata Hai,
Ke Woh Subah Khali Pait Jate Hain Aur Shaam Ko Pait Bhar Ker Palat’te Hain”.

📗 (Tirmizi Sharif)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)