Buzurgan-e-deen

Hazrat Haji Ali Shaah Bukhari rahmatullāhi alaihi

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-e-Zamaan, Shaah-e-samundar.
******************
Ek martaba Aap ne ek aurat ko rote hue dekha. Aap ne rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ki “Main is bartan me tail lekar jaa rahi thi. Achaanak thokar lagne se gir gai aur ab agar bagair tail ke ghar jaaungi to mera shohar naraaz hoga.”
Aap ko ghareeb pareshaan aurat par raham aa gaya aur aap ne use us jagah bataane ko kaha jaha par tail gir gaya tha. Us jagah par pahunchkar Aap ne zameen par apni zor se apni ungli rakhi to tail baahar nikal aaya aur us aurat ne apne bartan me tail bhar liya aur khush hokar apne ghar chali gai.
Is ke baad Aap ne khwaab me dekha ki zameen keh rahi hai ki “Tum ne is tarah dabaakar mujhe takleef di hai.”
Yeh khwaab baar baar dekhkar Aap be-chain aur ranjeeda rehne lage.
Phir Aap apni waalida ki ijaazat lekar apne bhai ke saath Bukhara chhodkar nikal gaye. Safar karte hue jab Aap Hindustan me Mumbai pahunche to aap ne yahi sukoonat ikhtiyaar karne ka faisla kiya aur apne bhai ko waapas bhej diya aur us ke saath apni waalida ko khat likhkar apna faisla bataaya aur un ki maafi maangi.
Phir Aap kai saal tak wahi par rehkar ibaadat e ilāhi aur isha’at e Islaam karte rahe aur logo ko ta’aleem dete rahe.
******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) ALLĀH ta’ala se darte raho phir tumhe kisi cheez ka khuf nahi rahega.
(2) Zindagi ke din baadalo ki tarah guzar jaate hain. Lihaaza jab tak zindagi hai neki karte raho.
******************
Makka mukarrama ki jaanib safar ke dauraan Aap ka wisaal hua.
Wisaal se pehle Aap ne apne saathiyo ko wasiyat ki thi ke “Mujhe kafan pehnakar mere jism ko ek sandooq me rakhkar samundar me baha dena. Jaha par meri mayyat pahunchegi waha ke log mujhe dafn karenge.”
Is tarah Aap Hindustan ke samundar kinaare pahunche aur Aap ko wahi par samundar ke bich me pahaadi par dafn kiya gaya.
******************
Aap ka mazaar Mumbai ke Worli ilaaqe me samundar ke bich me hai.
834 Hijri (1431 A.D.) me Haji Uṡmaan Rangikar ne Aap ki Dargaah aur Masjid ki taameer ki.
Aap ka Urs 16 Rabi-uṡ-ṡaani ko manaaya jaata hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Haaji Ali Shaah Bukhari rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Aulia Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Aafreen Seikh

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.

Share
Published by
Aafreen Seikh

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago