Islamic Blog

Iblees 4 martaba sab se zyada roya hai :

(1) Jab us par la’anat bheji gai.
(2) Jab use (aasmaan se nikalkar) zameen par bheja gaya.
(3) Jab Huzoor Rasool-Allāh Sarwar e Kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat (be’asat) hui.
(4) Jab Surah al-Faatiha naazil hui.

(Al Bidaayah wal Nihaayah, Jild -2, Safa -166)

************
Qur’an :
93 Surah ad-Duha, Aayat 11 :

Aur apne Rab ki ne’amato ka khub tazkeera karo.

Qur’an :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 164 :

Beshak ALLĀH ne musalmano par bada ehsaan farmaaya ke un me unhi me se (azmat wala) Rasool bheja jo un par us ki aayate padhta aur unhe paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmat ki taaleem deta hai agarche wo log us se pehle khuli gumraahi me the.

***************
Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam manaana jaa’iz hai aur baa’is e rahmat aur barkat hai :

************
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 :

Aye Eimaan waalo, Islaam me pure daakhil ho jaao.

Eid-e-Meelaad-un-Nabi sallallāhu alaihi wa sallam manaane ka sahi tareeqa :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aashiqaan e Rasool ko chaahiye ke Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Islaami tareeqe se manaaye aur aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ko aur izzat mile.

Eid-e-Meelaad-un-Nabi ko Subah Saadiq ke waqt khaas Salaat o Salaam paish karen aur Dua e khair karen.
Fajr ki namaaz ada karne ke baad bhi Dua e kahir karen.

Ghusl karen, Miswaak karen, Khushbu lagaayen, Surma lagayen, Achhe kapde pehnen.
Achha khaana khaas kar meetha pakakar khud bhi khaayen aur azeezo, rishtedaaro aur padosiyo ko hadiya bhejen aur ghareebo ko bhi den.

Mehfil e Meelaad me aur Juloos me adab o ehtaraam aur khushi ke saath saamil ho aur Raza e ilāhi aur Izhaar e ishq e Rasool ki nek niyyat rakhen.
Hattal imkaan Ba-wuzu rahen.
Har fuzul baat aur amal se bachen.
Juloos me Zikr e Ilāhi aur Hamd e Baari ta’ala, Naate Rasool aur Manqabat padhte rahen.
Kasrat se Durood o Salaam padhte rahen.
Tilaawat e Qur’an karen.
Kasrat se Astaghfaar karen.
Nafl Namaaz padhen.
Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

Sadqa- Khairaat zyada karen.
Ghareebo, Mohtaajo ki imdaad karen.
Beemaar aur kamzor ki khidmat karen.
Saadaat ki khidmat karen.
Taalibaan e ilm ko madad karen.
Buzurgho ko isaal e sawaab karte rahen.

Apne gharo aur mohallo ko khub sajaayen aur Roshni karen.
Magar aam raasto par ya choraho par is tarah sajaawat na karen ki waha se guzarne walo ko takleef ho.

Najam ki CD/DVD bajate waqt ye khayaal rakhen ki itni buland aawaz na ho ki is ki wajah se mareezo, jaeefo, buzurgo aur chhote bacho ko takleef ho aur Azaan aur Namaaz ke awqaat ka bhi khayal rakhen.

Islaam me Naachna aur Gaana-bajaana haraam hai, Chunanche Juloos e meelaad me in baato se bachen.
Aatishbaazi na karen ke ye Fuzul-kharchi aur gunah hai.

Aurto ko be-parda nikalna ya mardo ke bich me aana mana hai. Is liye Juloose milaad dekhne ke liye aurto ko apne gharo se baahar nahi nikalna chahiye.

Azaan aur Namaaz ke awqaat ka khaas khayaal rakhen.
Azaan ka ehtaraam karen aur azaan sunkar us ka jawaab den.
Juloos ke dauran bhi masjid me ba-jama’at namaaz ada karen.
Aur namaaz ke baad ALLĀH ta’ala se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se sab ke liye Dua e khair karen.

Tabarrukaat ki ziyaarat karen.
Auliya Allāh ki ziyarat ke liye jaayen.
Qabrastan jaayen aur isaal e sawaab aur Dua e maghfirat karen.

Sahi ilm e deen sikhen aur dusro ko sikhayen.
Taake sahi aqeede ke saath nek amal kar saken.
Sunnato ko apnayen.
Har gunaah se bachne ki koshish karen.

Sab ke liye Hidaayat ki aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal karne ki taufiq ki dua karen.
Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayaamat ki pareshaaniyo se hifazat ki aur maghfirat aur najaat ki dua karen.

************
Eid e Meelaad-un-Nabi ki Nafl Ibaadat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Rabi’ ul awwal ki mubarak 12wi tareekh ko
(Tulu’ aaftaab ke 20 minute baad) Namaaz e Ishraaq ada karne ke baad
2 rak’at nafl namaaz Shukraane ki padhen.
Aur 11 martaba Durood shareef aur 11 martaba Astaghfaar padhne ke baad ALLĀH ta’ala ka shukr ada karen ke hume Ummat e Mustafa me aur Ahle Sunnat wal Jama’at me saamil kiya. Aur Dua karen ke puri zindagi aur naza’ ke waqt Eimaan ki salaamati ata farmae.

(2) Namaaz e Zohar ke baad
20 rak’at namaaz 2-2 karke padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 21 martaba padhen.
Aur is ko Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki rooh e aqdas ko isaal e sawaab karen.

Phir Durood shareef padhkar Dua e khair karen aur Eimaan ki hifaazat ke liye aur Khaatma bil khair ke liye dua karen.

Is namaaz ko padhne wale ko ALLĀH ta’ala Tauheed par qaayam rakhega aur Khaatma bil khair ata farmaega aur Huzooe akram sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat naseeb hogi. In sha’ Allāh.

(3) Awwal Aakhir 3-3 martaba Durood shreef padhkar ye Wazeefa padhen.
Bismillāhir Rahmānir Raheem
Ya Allāhu (7 martaba)
Ya Ghafooru (7 martaba)
Ya Rahmānu (7 martaba)
Ya Hannanu (7 martaba)
Ya Mannanu (7 martaba)
Ya Rayyanu (7 martaba)
Ya Sub’hānu (7 martaba)

In sha Allāh ALLĀH ke fazl se pura saal khush-haal aur amn me guzrega aur Mehshar me hisaab o kitaab me aasaani ke saath Jannat me daakhil hoga.

***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm