Islamic Blog

*”RASOOLULLAH (SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM) KI NASEEHATEN…”*

*1- LOGO KI MADAD KARNA-*

2705 “Tum me se jo shakhs apne bhai ko fayda pahunchane ki taqat rakhta hai to woh aisa kare” (Muslim-2199)

2705 “Logo me sabse behtar woh hai jo logon ko sabse zyada fayda pahunchane wala hai” (Mu’jam Al-awsat-5787)

*2- BEHTREEN DOST AUR SATHI-*

2705 “Allah ke nazdik sathiyon me sabse behtar woh hai jo apne sathi ke haq me behtar hai” (Tirmizi-1944)

*3- BEHTREEN PADOSI-*

2705 “Allah ki qasam woh momin nahi jiski shararton se uska padosi mehfuz na ho” (Bukhari-6016)

2705 “Padosiyon me se behtreen padosi Allah ke han woh hai jo apne padosi ke liye sabse behtar hai” (Tirmizi-1944)

*4- LOGO PAR REHEM KARNE WALE PAR ALLAH REHEM KARTA HAI-*

2705 “Tum zameen walo par rehem karo, Asman wala tum par rehem karega” (Tirmizi-1924)

*5- CHHOTO PAR REHEM AUR BADO KI IZZAT-*

2705 “Woh shakhs hum me se nahi jo hamare chhoto par rehem nahi karta aur hamare bado ki izzat nahi karta” (Tirmizi-1919)

*6- RASTE KA HAQ-*

2705 “Raston me baithne se bachna, Nigahon ko niche rakhna, logo ko taklif na dena, salam ka jawab dena, neki ka hukm dena aur burai se logo ko rokna” (Bukhari-6229)

2705 “Logo se achi guftugu karna, musafir ki rehnumai karna, gumshuda ko rasta batlana, bojh walon ka bojh utha kar unhe unki manzil tak pahuncha dena aur kasrat se Allah ka zikr karna” (Fatehul bari)

2705 “Raste se takleef dene wali chiz ko door kardo, yeh tumhare liye sadqa hoga” (Adabul mufrad-228, Bukhari-2472)

*7- MAA-BAAP KI RAZAMANDI-*

2705 “Rab ki razamandi Maa-baap ki razamandi me hai, aur unki narazi me rabb ki narazi hai” (Shu’bul iman-7830)

*8- BURAI KO ROKNE KA HUKM-*

2705 Tum me se jo shakhs kisi burai ko dekhe use chahiye ki use apne hath se rokde, agar hath se badalne ki taqat na ho to zuban se rokde, zuban se bhi rokne ki taqat na ho to dil me use zarur bura samjhe yeh kamzor tareen iman hai” (Muslim-179)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm