Islamic Blog

Isme Taziya darasl lafz taziyat se bana hai jiske mani apni apni zahan ke mutabiq likhe gaye. Kisi ne taziyat mani matampursi likh diya kisi ne taziyat mani shareeke gham kisi me murde ki tajheez o takfeen likh diya baharhal lafze taziyat baqi raha. Jis tarah kisi ki maut ko sunkar jis se ruhani talluk hota hai apni ruh majboor karti hai usko dekhne ke liye pahunchna, arbi me isi ko taziyat kahte hain. Islam me ayadat aur taziyat dono ruhani amaal hain jiske babat umuman ye mashhoor hai ki har kaam ko chhod kar ayadat aur taziyat karna zaruri hai.

Hasil kalam ye jabke ummate Mohammadiya ka ruhani talluk Huzur SAW se hai lihaza har ummati ke liye Huzur SAW ki ayadat aur taziyat zaruri hi nahi balki ain farz hai.

Huzur SAW ki ayadat ki yahan tasreeh matlub nahi albatta taziyat tashrih talab hai, 1. jaise Huzur SAW ki taziyat me pahunchne wale ruhani buzurgon ne zarur wajahe maut dariyaft kiya hoga k maut kaise hui ? jawab mila hoga bukhar se, ya gusl se, ya zahar se, maut wakai hui. 2. Phir wasiyatnama dariyaft kiya gaya hoga, ke akhri alfaz me bhi kuch farmayen hain ? jawab mila hoga ki kagaz kalam lao ya Khaibar k Yahudi ya Najran ke Isaai ya baham qattal karke kafir na ho jana 3. Phir mutalliqin ki khidmatein ki gayi hongi jis se jigare Rasool SAW janabe Fatema aur Hazrat Imam Hussain A.S. apna gham bhul gaye honge. Yahi amal to taziyat hui, kash is amal ko hamesha yaad rakha jaye. Jaise ye amal taziyadari hai isi tarah Hazrat Imam Hussain A.S. se talluk rakhne walon ke liye wajahe maut, wasiyat aur mutallikin ki khidmat karna taziyat hai.

Ye jo ham taziye ki shakl dekhte hain ye shakl e Roza e Hazrat Imam Hussain A.S. hai. Hum apne buzurgon ke Mazarat aur Darbaron me aqeedat se hazri dete hain aur unhe apna waseela banate hain, to Hazrat Imam Hussain A.S. to buzurgon ke bhi buzurg hain, aur unki Bargah me apni aqeedat aur nazrana e mohabbat pesh karne k liye shakl e Taziya me Imam e Aali maqam ka Roza e muqaddas dekhte hain.

Isi tarah zamana e hayat e zahir Sarkar Tajul Auliya R.A. me jab huzoor Babajaan k  samne se koi taziya guzarta to aap ghamgeen aur namnak ho jate aur tajiye ka ehtaraam farmate. Ek Moharram se Barah Moharram tak huzur Babajaan ki kaifiyaat badi ajeeb aur jalali hoti, in dino me aap marsiya samaat farmate aur Sheikh Sadi R.A. k kalam ke ashaar dohrate aur kabhi aalame jalal me farmatey “ Shahast Hussain, Badshahast Hussain” aur kabhi farmate “ Imam e deen sultan e Madina shahon ke sardar Hussain “. Das moharram ko aap khud bhi Karbala ( Imambada – Nagpur ) Asr ke waqt tashreef le jate aur apne ghulamon se farmate “ hauji babu, Karbala ko jatey “ , yani ghulamo’n ko hukm hota ke Karbala jaye’n.

Huzur Sarkar Tajul Auliya R.A. ke in aamal par nuktacheeni karna yani jurrate beja hai aur sarkar ki narazgi ka sabab hai.

Meri tamam momineen se guzarish hai ke sunnate Sarkar Tajul Auliya R.A.  par chalte hue unke ahkam par amal kiya jaye.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm