Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: juma ek din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti
——————
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294

✦ Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talas karo
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih

✦ Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih

——————
✦ Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu :
Abul Qasim (the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, “There is an hour (or a moment) of particular significance on Friday. If it happens that a Muslim is offering a prayer and invoking Allah for some good at that very moment, Allah will grant him his request.”
Sahih Bukhari, Book 63, Hadith 216

✦ It was narrated from Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu that:
The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: “Friday is twelve hours in which there is no Muslim slave who asks Allah for something but He will give it to him, so seek it in the last hour after Asr.
Sunan Nasaii, Book 14, Hadith 139-Sahih

✦ Anas bin Malik Radi allahu anhu narrated that :
the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: “Seek out the hour that is hoped for on Friday after Asr until the sun has set.”
Jamia Tirmidhi , Book 4, Hadith 489-Sahih

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)