Islamic Blog

*Shirk Ki Sirf 3 Qisme Hai*

*1- Shirk Fizzaat :–*
1 Se Zayaada Khuda Maanna Ya Kisi Ko Khuda Ke Jaisa Maanna Jaise Majoosi 2 Khuda Maante Hai Ek Khaaliq e Sharr Aur Doosra Khaaliq e Khair Aur Mushrikeen To Caroro Khuda Maante Hai.
Ma’az Allah Summa Ma’az Allah
*2- Shirk Fissifaat :–*
Khuda Keliye Beta, Beti Aur Biwi Maanna Jaise Isaayio Ne Hazrate Isa Alaihissalaam Ko Allah Ka Beta Maana Aur Hazrate Mariyam Radiallahu Anha Ko Allah Ki Biwi Maana
Ma’az Allah Summa Ma’az Allah
*3- Shirk Fil Afa’al :–*
Khuda Keliye Madadgaar Maanna Jaise Mushrikeen Ka Aqeeda Tha Ke Baarish Barsaana Aasmaan Ke Khuda Ka Kaam Hai Lekin Zameen Se Darakht, Phal, Phool Ugaana Zameen Ke Khuda Ka Kaam Hai, Jab Tak Partnership Baraabar Nahi Chalti Tab Tak Na Barish Ho Sakti Hai Na Zameen Se Kuchh Ugaaya Ja Sakta Hai_
Ma’az Allah Summa Ma’az Allah
Yeh 3 Shirk Ki Qismo Ke Alaawa Na Koi 4thi Qism Hai Na Koi 5vi Qism Hai Kyunke Qura’an Aur Hadees Me Sirf 3 Qism Ke Shirk Ka Hi Zikr Hai, Lekin America Ke Zarr Khareed Gulaamo Ne Daulat Ki Khaatir Apni Marzi Se Tarah Tarah Ki Shirk Ki Qisme Bana Daali, Mera In Wahabio Deobandio Ko Challenge Hai Ke Shirk Ki 3 Qism Ke Alaawa 4thi Qism Qura’an Aur Hadees Se Saabit Karo Warna Kalma Padh Kar Sunni Musalmaan Banjaao.
Sunni Musalmaan Ambiya Aur Auliya Ko Na To Khuda Maante Hai Aur Na Khuda Ke Jaisa Maante Hai Aur Na Inko Khuda Ki Aulaad Maante Hai Aur Na Khuda Ka Madadgaar Maante Hai. Humaara Aqeeda Hai Ke Khuda 1 Hai Uske Siwa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahi Na Koi Uske Jaisa Hai Na Koi Uska Madadgaar Hai. Balke Ambiya Aur Auliya Ko Jo Bhi Power Mili Huwi Hai Woh Allah Ta’ala Ki Ataa Se Hai
Allah Ta’ala Ki Power Zaati Hai Usko Kisi Ne Yeh Power Nahi Di Magar Ambiya Wa Auliya Wa Makhlooq Ki Power Ataayi Hai Allah Ne Unhe Power Di Hai, Agar Koi Makhlooq Ki Power Ko Zaati Maane To Woh Kaafir Wa Mushrik Kehlaayega.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)